Musalamaanon Ka Goal Shift !!

Musalamaanon Ka Goal Shift  !! 
Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) aur sahaba ki Zindagiyon takk namaaz zakaat roja hajj aur amle saaleh(tazkiya e nafs) ke baad ulmimate goal hota tha zameen par social aur economic justice ko establish karna  !! 
Umaiyaas ke baad hum nakli musalamaanon ka zamaana shuru huwa  !! 
Faraayez aur amle saaleh (Tazkiya e nafs) hi ulmimate goal bann gaya  !! 
Kuchh logon ka zameer unko kosne laga  !! 
Kehne laga ye ulmimate goal of Islaam nahi hai  !!? 
Tabb jaakar hum nakli musalamaanon ke asli ilmi darpokon ki nazar Quraan ke surah Qahef par gai  !! 
Wahaan Moosa (AS) aur Khhizr sahab ke beech ka ek waaqiya nakal kiya hai Allaah ne  !! 
Yahaan ek fabricated goal mil gaya  !! 
Ab shuru huwa Sufism, peeri, faqeeri, khaankaahi system  !! 
Log muraakbe, aur Allahu Allahu ke jariye Allah se qareeb hone lage Khhizr sahab ki tareh  !! 
Fir unaani mantaqq aur falsafe ka hammla huwa!! 
Usne aag mei ghee ka kaam kiya  !! 
Ab log Allah ke itne qareeb hone lage ki shariyatt ki paabandiyaan bhi unn parr se uthhne lagien  !! 
Hajaar saalon takk yahi hum musalamaanon ka ultimate goal raha  !! 
Aur duniya parr laamazhabb west ka kabza ho gaya  !! 
Western clonialism
Capitalism
Aur Zionism launch ho gaye  !! 
Hum aaj takk unhi chutiyaapon, fiqaah parasti aur firqaaparasti mei uljhe pade hain  !! 
Ehsaas takk nahi ki Islaam ko kitna chhota karr diya hai humne  !! 

Comments

Popular posts from this blog

We'll kill them!!

**Justice is needed on this earth for these people!!**

Islam is alive!!